Duniya mein bahut gum milenge Such mano ache dost bahut kum milenge
Jis mod par sab chod denge sath tumhara, Dost usi mod par khade hum milenge ...
Jam pe jam pine se kya fayda, Sham ko pi subah utar jayegi.
Arey do boond humari dosti ke pi le, Zindagi saari nashe mein guzar jayegi
Din k saath kabhi raat nahi hoti, Chand k saath kabhi mulaqat nahi hoti,
Jinko chahte hai hum jaan se bhi jyada, Unhi se hamari baat nahi hoti ...
Ek lamhe mein unhone hamari zindagi sawaar di, Ek lamhe mein unhone hamari zindagi ujaad di,
Kasoor unka nahi kasoor hamara tha, Jo un DO LAMHO mein hamne apni zindagi guzaar di.
Waqt guzrega hum bikhar jayenge, kaun jaane ke hum kidhar jayenge,
hum aapke dost hain yaad rakhna, jahan tanhai mili waha hum nazar aayenge
Tusi hasde ho saanu hasaan waaste, Tusi ronde ho saanu rulaan waaste.
Ik waari rooth ke to dekho soneyo, Mar jawange twanu manaan waaste. ...
roya hai dil aankh muskrai hai........ yun hi humne wafa nibhai hai..........
jo na ek lamha bhi humen de n saka............ uski khatir humne saari umar bitayi hai............
Zindagi k tufano ka sahil hai teri dosti, dil k armano ki manzil hai teri dosti, zindagi bann jaayegi jannat agar sada saath rahegi teri dosti… ...
Har dhadkan mein ek raaz hota hai, Har baat ko batane ka ek andaz hota hai,
Jab tak thokar na lage bewafai ki, Har kisi ko apne pyar par naaz hota hai...
Tute khawbao ko phir sajana aata hai, Ruthe dil ko manana aata hai...
Aap hamare gum ko dekhkar pareshaan na ho, Humein to dard mein bhi muskarana aata hai... ...
Saath rehte rehte yuhi waqt guzar jayega, dur hone k baad kaun kise yaad aiga,
Jeelo yeh pal jab hum saath hai, kal ka kya pata waqt kaha le jayega
Raat chup hai magar chand khamosh nahi, kaise keh du aaj hosh nahi,
aisa dooba teri ankhon ki gehrai me, hath me jam hai magar pineka hosh nahi…
Mehfil na hoti Nazare na hote, Yun Chand k pehlu me sitare na hote,
Hum isi liye karte hai Aapki parwah, Kyonki Dil k kareeb saare nahi hote. ...
Subney kaha Pyaar ek Dard Hai,Humney Kaha Humeay Yeah Dard Kabool Hai,
Subney kaha Es Dard Ke Sath Jee Nahee Paogey Per .... Humney Kaha Us Dard ke Sath to Marna Bhee Kabool Hai....
Har khushi kam hai, Tera ghum bhulane ke liye,
Ik tera ghum hi kaafi hai, Mujhe umr bhar rulane ke liye!!
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye, Zindagi ki akhari sham aa jaye, Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab, Hamari zindagi apke kam aa jaye. ...
Tufan me khasti ko kinare bhi milte hai, jahan me logon ko sahare bhi milte hai. Duniya me sabse pyari hai zindagi, kuch log zindagi se bhi pyare milte hai
AANKHON MEIN AANSU AA JAATE HAIN PHIR BHI LABO PE HANSI RAKHNI PADTI HAI
YEH MOHABBAT BHI KYA CHEEZ HAI YAARON, JISSE KARTE HAI USEESE CHUPANI PADTI HAI ...
KABHI DOST' KEHTE HO, KABHI DUA DETE HO, KABHI BEWAKT NEEND SE JAGA DETE HO,
PAR JAB BHI HUME MILA KARTE HO, KHUDA KASAM KHUSHI HI KHUSHI DIL MAIN JAGA DETE HO...
Apki palko pe khwab rakh jayenge Apki saso pe naam likh jayenge
chalo vada hai aapse bhool jana hame Agar humse accha dost aapko mil jaaye koi ...
Aaj fir ek udasisi chai hai. Tanhai me baithe yaad aapki aayi hai.
In palko ko bandh kaise karlu, inn aankho me tasvir joh apki aayi hai...
Jam pe jam pine se kya fayda, Sham ko pi subah utar jayegi.
Arey do boond humari dosti ke pi le, Zindagi saari nashe mein guzar jayegi
Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke ( from HAHK)
Har kadam par imtihaan leti hai zindagi, Har waqt naya sadma deti hai zindagi.
Hum jindagi se kya shikwa kare, Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi...
Logo ko aksar kehte suna: “Zinda rahe toh phir milenge”.
Magar aap se mil ke iss dil ne mehsoos kiya hai ki: “Milte rahe toh Zinda Rahenge”.
Dil ki hasti mit gayi hoti, aur sare dard badh gaye hote,
Zindgi aap jaise dosto ki amanat hai, varna hum to kab ke bikhar gaye hote...
Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi.. kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi.. tujh se mile zamana hua magar... yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi.. ...
Rishtey ki dastan jab waqt sunata hai, toh hame bhi koi rishta yaad aata hain,
Bhool jate hain hum zindagi ke gam ko,jab aapke saath bitaya waqt yaad aata hai.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe, humey roz -roz kyon bulate ho,Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho. ...
Monday, December 19, 2005
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Hi, I read ur shayari. Cool n awsome. Keep writing TC
Post a Comment