Original Written by : Somen Mishra.
Zindagi me kabhie lage ki zinda rehne ka ab koi maksad hi nahi,
behaal tanghaal sansoon ko khinch pana ab aur mumkin bhi nahi,
duniya ke saare gam mano tumhare kamre me hi tim tima rahe ho,
aur bakshe me padi neend ki goliyaan hi bus aakhiri sahara ho,
to jaate jaate,
is bhale manas ki ek baat zarur maanna,
un goliyoon se pehle,
kuch der ke liye hi sahi,
kisi sarkari asptaal ke bahar ja bhaithna.
Wahan jahan zindagi ko maut ne ghera hai,
par phir bhi,
har chaukhat par umeedon ka dera hai.
Kuch sunna,
kuch dekhna,
aur ho sake to kuch samjhna.
Kuch aise milenge,
jinhe pata hai apne aakhiri sansoon ka hisaab,
kuch waise,
jinhe bus himmat ka sahara hai,
aur kuch we bhi,
jinke tan par kuch bhi nahi par mann harta hi nahi.
Har ek ki kahani me kuch ek se hai rang,
har kahani me kuch panne hai berang.
Wey bhooke nange thake hare
bus un panno ko taakte rehte hai,
dawa daru na sahi,
par wo kahaanikaar kahin to hai,
kuch aur panno me wo rang zaroor funk dega,
"the end" ko kuch aur panno ke picche dhakel dega.
Aur ek tum ho,
jo apni kahaani se hi dar rahe ho,
us kahaanikaar ke bina hi "the end" kah rahe ho.
Maanaa kuch panno pe khusiyoon ka mausam zarur manda hai,
par umeedon ki choti-badi potli ke sahare hi to hum sab zinda hai.
Dil ab bhi samajh na paya ho to,
goliyaan bakshe me hi kar rahi hai tumhara intezaar,
par un goliyoon se pehle,
kisi sarkari asptaal ke chaukhat par bhaith aanaa bus ek baar.
following was a comment.... liked it so posted it too...
pathar pani mai mat faiko...ise koi aur bhi pita hai, jina hai to haas ki jiyo... kyu ki tumhe dekh kar koi aur bhi jeeta hai... |
No comments:
Post a Comment